Webcam Kya Hai iske Fayde Aur Nuksan Hai
Webcam Kya Hai Iske Fayde Aur Nuksan Hai
Webcams Ki Madad Se Koi Bhi User Kisi Dusre User Se Communicate Kar Sakta Hai. Webcam Ki Madad Se Audio Aur Video Dono Tarah Ke Signal Ek Jagah Se Dusre Jagah Par Transmit Kiye Ja Sakte Hai. Laptop Mein Inbuild Webcam Diye Hue Hote Hai Lekin Desktop Mein Aapko Alag Se Webcam Khrid Kar Lagana Padta Hai Jisse Aap Kisi Dusre User Se Connect Kar Sake.
Webcam Ka Istemaal Par Social Media Par Connect Hone Ke Liye Bhi Kar Sakte Hai Iske Alwa Aap Iska Istemaal Youtube Par Live Streaming Video Banane Ke Liye Bhi Kr Sakte Hai. Aaj Is Article Mein Ham Aapko Kuch Sabse Best Quality Ke Webcams Aur Webcams Ke Fayde Aur Nuksaan Ke Baade Mein Batayenge.
1. Logitech C270 HD Webcam
Yah Sabse Best Quality Ka Webcam Hai Jo Aapko Online Store Par Mil Jayega. Isse Aap 1080p Ki Full HD Video Live Streaming Kar Sakte Hai Ya Kisi Ko Call Kar Sakte Hai. Isme Carl Zeiss Optics Ka Istemaal Kiya Gya Hai Jo Iski Video Quality Ko Improve Karta Hai. Isse Aap HD Video Calling Bhi Kar Sakte Hai. Iske Andar 3MP Ka Camera Laga Hua Hai. Iske Alawa Isme Noise Cancellation System Bhi Diya Hua Hai.
Price :- 1,500
2. Microsoft LifeCam Cinema 720p HD Webcam Yah Bhi Bahut Badhiya Quality Ka Webcam Hai Lekin Iska Daam Dusre Webcam Ke Mukable Bahut Jyada Hai. Iske Alawa Microsoft Ke Aur Bhi Webcam Hai Jo Isse Jyada Mahnge Hai. Is Webcam Se Aap HD Calling Aur Video Streaming Kar Sakte Hai. Iske Andar Auto Focus Ka Bhi System Diya Gya Hai Taaki Yah Aapko Accurate Focus De Sake. Is Webcam Mein Premium Quality Ka Microphone Use Kiya Gya Hau Jisse Aap Bina Noise Ki Audio Quality Paa Sakte Hai. Aap Isko Window Ke Kisi Bhi Version Mein Istemaal Kar Sakte Hai.
Price :- 4,379
3. Quantum QHM495LM WebcamYah Webcam Bhi Bahut Jyada Istemaal Hota Hai. Yah Uper Bataye Gaye Webcam Ke Compare Mein Bahut Sasta Hai. Is Webcam Mein CMOS Sensor Ka Use Kiya Gya Hai. Isme 16MP Ka Camera Hai Aur Iske Sath 6 LED Light Bhi Di Gayi Hai Jisse Aap Low Light Mein Bhi Video Streaming Aur Calling Kar Sake. Iske Andar Inbuild Microphone Bhi Diya Gya Hai Jisse Aapko Headphone Ka Istemaal Nhi Karna Padega.
Price :- 478
Best Webcam Software
1. CyberLink YouCam 7
Yah Software Sabse Best Software Hai Jiska Use Aap Webcam Ke Liye Kar Sakte Hai. Iske Anadar Video Aur Photos Capture Karne Ke Kai Tool Diye Gaye Hai Iske Alwa Isme Aapko Kai Effects Milenge Jisko Aap Video Streaming Ke Douran Bhi Istemaal Kar Sakte Hai. Is Software Ke 2 Version Hai Isko Istemaal Karne Ke Liye Aapko Pahle Isko Khridna Hoga. Iske Dono Version Ki Kimat Bhi Alag Alag Hai. Deluxe Cyberlink YouCam 7 Ki Kimat Lagbhag RS 2,800 Hai, Aur Iske Standard Version Ki Kimat Rs. 2,000 Hai. Deluxe Version Mein Aapko Kai Ese Feature Milenge Jo Aapko Standard Version Mein Nhi Milege Jaise Dual Camera, Beautification.
CyberLink YouCam 7 Mein Aapko Bahut Function Milege Jisse Aapki Chating Aur Jyada Intersting Ban Jayegi. Is Software Mein Aap Webcam Se Photo Capture Kar Sakte Hai, Chat Kar Sakte Hai, Funny Effects Daal Sakte Hai, Frame Laga Sakte Hai, Split Screen Use Kar Sakte Hai. Best Emoji Collection, Filters Aur Overlay Jaise Effect Bhi Aapko Isme Milege. Iske Naye Version Mein Beautification Naam Se Ek Section Tool Bhi Add Kiya Gya Hai Jiski Madad Se Aap Apni Selfie Ko Improve Kar Sakte Hai, Aur Ek Fully Fledged Workspace Diya Hua Jahan Par Aap Photo Editing Kar Sakte Hai. Isko Aap Surveillance Mode Se Apne CCTV Se Connect Bhi Kar Sakte Hai Aur Internet Ke Dawara Kahin Par Bhi Isko Access Kar Sakte Hai. Iske Alawa Isko Aap Window Mein Sign In Karne Ke Liye Bhi Istemaal Kar Sakte Hai Jaise Aap Apne Mobile Mein Face Unlock Sysytem Ka Use Karte Hai.
Agar Aapko Lagta Hai Ki Aapko Pahle Isko Test Karna Hai To Aap Iska Trial Version Use Karke Dekh Sakte Hai Jahan Par Apko Sabhi Perimum Features 30 Din Ke Liye Free Mein Use Karne Ko Milenge.
2. ManyCam 4.1
Yah Bhi Ek Webcam Software Hai Jisko Aap Live Chatting Ke Liye Use Kar Sakte Hai. Iske Anadar Bhi Bahut Se Tool Use Kiye Gaye Hai Jiski Madad Se Aapko Skypee Aur Yahoo Call Karne Mein Help Milegi. Is Software Ka Aap Free Version Bhi Istemaal Kar Sakte Hai. Iske 2 Paid Version Bhi Hai Manycam PRo Aur ManyCam Enterprise Lekin Iske Liye Aappko Pahle Payment Karna Hoga. ManyCam Pro Ke Liye Aapko Lagbhag Rs. 2,800 Dene Hoge. ManyCam Enterprise Ke Liye Aapko Rs. 9,500 Ki Payment Karni Hogi. Iske Baad Mein Aap IP Camera Streaming Aur Kai Addition Featurs Ka Use Kar Sakte Hai.
Is Software Mein Aapko CyberLink YouCam 7 Software Ke Jaise Software Nhi Milenge. Lekin Yah Bahut Hi Light Software Hai Jisko Aap Video Blogging Ke Liye Use Kar Sakte Hai. Iske Alawa Isme Game Capture Ka Nhi Option Diya Gaya Hai Jisse Aap Record Karke Youtube Par Upload Kar Sakte Hai.
3. Webcam Toy
Webcam Toy Koi Software Nhi Hai. Yah Ek Web Based Webcam Tool Hai Jise Aap Kisi Bhi OS System Mein Use Kar Sakte Hai. Isko Use Karna Bahut Hi Aasaan Hai. Iske Liye Aapko Koi Bhi Payment Nhi Karni Hai. Single Button Click Se Aap Isko Shuru Kar Sakte Hai. Aapko Isme Bahut Saare Effect Dekhne Ko Milege. Agar Aapko Apni Photo Capture Karna Ho Aur Aapko Koi Tool Install Nhi Karna Chahte To Aap Is Website Ka Use Kar Sakt Hai Jo Bilkul Free Hai. Isse Aap Apni Photo Ko Save Kar Sakte Hai Ya Fir Facebook, Google Aur Twiiter Par Share Bhi Kar Sakte Hai.
4. SplitCam
SplitCam Ek Free Software Hai Iske Liye Aapko Koi Payment Nhi Karni Hai. Iske Anadar Kai Ese Tool Aur Effect Hai Jo Aapko Pro Aur Paid Version Mein Dekhne Ko Milte Hai. Iske Andar Aap Output Video Mein Bhi Effect Add Kar Sakte Hai Jo Ki Aapko Sirf Paid Webcam Software Mein Dekhne Ko Milta Hai. Yah Software Video Streaming Ke Liye Sabse Badhiye Free Webcam Software Hai. Iss Software Mein Aapko Alag Alag Resoluation Select Karne Ka Option Bhi Milta Hai.
Jaisa Ki Hamne Aapko Pahle Bataya Ki Isme Aapko Kai Ese Feature Dekhne Ki Milenge Jo Aapko Sirf Paid Version Mein Milte Hai Isme Aapko Realistic 3D Mask, Streaming Video Aur Alag Alag Streaming Source Se Connect Karne Ke Source Bhi Milege.
5. Yawcam
Yawcam Window Ka Free Webcam Software Hai Jiska Use Aap Photo Aur Video Capture Karne Ke Liye Kar Sakte Hai. Isme Aap Live Streaming Bhi Kar Sakte Hai. Isme Sabse Alag Ek Feature Add Kiya Gya Hai Jisse Aap Aap Kuch Second Mein Ek Sath Kai Photo Caputre Kar Sakte Hai. Iske Alawa Imse Motion Detection Ka Bhi Feature Add Kiya Gya Hai Jo Ki Surveillance Purpose Ke Liye Hai. Iske Alawa Bhi Isme Bahut Se Ese Feature Hai Jisse Aapko Aapke Content Quality Badhane Mein Iska Use Kar Sakte Hai.
6. Debut Video Capture Software
Debut Video Capture Yah Special Webcam Ke Liye Software Nhi Hai Lekin Aap Isme Webcam Ka Use Bhi Kar Sakte Hai. Iski Madad Se Aap Apne Computer Ki Screen Record Kar Sakte Hai Aur Iske Sath Sath Aap Webcam Se Live Streaming Bhi Kar Sakte Hai. Iska Free Version Bhi Available Hai Jisko Aap Inki Website Se Download Kar Sakte Hai. Iske Alawa Aap Iska Pro Version Bhi Use Kar Sakte Hai Jiske Liye Aapko 2,800 Rs Ki Payment Karni Hogi.
Is Software Mein Aap Kai Format Mein Recording Kar Sakte Hai Jaise AVI, WMV, FLV, MPG Aur MP4. Iske Alawa Isme Aapko IP Webcam Ki Suvidha Bhi Milti Hai. Iske Alawa Isme Aapko Zoom To Mouse Aur Mouse Highlighting Jaise Option Milte Hai. Isse Aap Youtube Par Video Tutorials Bhi Bana Sakte Hai.
7. IP Camera Viewer
IP Camera Viewer Ek Badhiya Webcam Software Hai Jiski Madad Se Aap Apne Webcam Ko Surveillance Purpose Ke Liye Use Kar Sakte Hai Hai. Isme Aap Alag Webcams Ka Bhi Use Kar Sakte Hai. Is Software Ke Use Ke Liye Aapko Payment Karne Ki Jarurt Nhi Hai. Yah Totally Free Software Hai Jisse Aap Apne Home, Office Aur Store Mein Saste Daam Mein Hi Accha CCTV Set Kar Sakte Hai. Yah Software Window OS System Ke Liye Hai Aur Aap Isko Har Version Mein Use Kar Sakte Hai. Isme Aapko Live Preview Aur Webcam Ki Output Control Karne Ke Bhi Tool Milte Hai.
8. Fake Webcam
Fake Webcam Bhi Ek Webcam Software Hai Jisme Aap Webcam Output Ke Sath Effects Bhi Add Kar Sakte Hai. Isko Fake Webcam Kahne Ka Ek Reason Hai Kyoki Imse Aap Video Msg Record Karke Chat Mein Send Kar Sakte Hai Isiliye Isko Fake Webcam Kaha Jata Hai. Fake Webcam Mein Aapko Bahut Saare Filter Milege. Is Software Ko Aap Sirf Window OS Mein Hi Use Kar Sakte Hai. Iska Free Trial Version Aapko 30 Din Ke Liye Milta Hai Iske Baad Mein Aapko Isko Khridna Hoga. Iska Prize Lagbhag Rs. 700 Hai.
9. Free Webcam Recorder
Free Webcam Recorder Software Jesa Ki Naam Hai Free Vese Hi Aap Isko Bina Ki Payment Kiye Use Kar Sakte Hai. Isme Aap Photo Aur Video Dono Capture Kar Sakte Hai. Isme Kai Advance Tool Bhi Diye Gaye Aur Isme Aappko Video Recording Ke Alag Alag Format Diye Gaye Hai Jaise MP4, WMV, AVI, MOV, FLV Etc. Isme Aap Screenshot Bhi Le Sakte Hai. Iska Design Aur Interface Bahut Simple Hai. Isko Aap Niche Diy Gaye Link Se Download Kar Sakre Hai.
Webcams Ke Fayde
- Webcam sabse jyada use isiliye kiya jata hai taaki aap apne dusre desh ke dost se bhi software ki madad se free mein video calling kar sake.
- Isko istemaal karna aur install karna bahut aasaan hai jisse aapko jyada problem ka samna nhi karna padega.
- Iske andar Audio aur video dono tarah ki system diye hue hai jisse aapko kisi se communicate karne mein problem nhi hogi.
- Iski madad se aap video record bhi kar sakte hai jisko baad mein aap kahin par save karna chahe ya kisi ko send karna chahe to kar sakte hai.
- Jyada webcams ko still camera ki tarah bhi istemaal kiya ja sakta hai. Jo ki bahut faydemand hai.
Webcams Ke Nuksaan
- Kai baar video chatting ke douran call disconnect hone ki problem bahut jyada aati hai.
- Logo ko face to face baat karne ke liye parerit(Discourages) karti hai.
- Hackers bhi aapke webcam ka use kar sakte aur webcam owner ko pta bhi nhi lagega.
- Innappropriate/illegal videos banane ke liye bhi use kar skate hai.
- Iski wajah se computer ki privacy aur security kam ho jaati hai. Aur isse kisi bhi person ki location ka bhi pta lagaya ja sakta hai.
To Yah Jankari Hai Ki Webcam Kya Hota Hai? Aur Kis Tarah Ka Webcam Aapko Khridna Chahiye? Webcam Istemaal Karne Ke Kya Fyade Aur Nuksaan Hai. Agar Aapko Hamare Article Ache Lagte Hai To Aap Comment Karke Jarur Bataye.
2 comments
Click here for commentsi never know the use of adobe shadow until i saw this post. thank you for this! this is very helpful. Check the site here
ReplyGreat article Lot's of information to Read...Great Man Keep Posting and update to People..Thanks Best information
ReplyConversionConversion EmoticonEmoticon